Moat k pass ja kar bhi dekha hai

Moat k pass ja kar bhi dekha hai...
Mene bhi dill laga kar dekha hai...
Chand ko log door sy dekhty hain...
Mene chand ko pass bula kar bhi dekha hai...
Ishq ki qeemat pouch lo mujh sy...
Mene ghar taj luta kar dekha hai...
Pyar to bheek main bhi mil jata hai...
Mene to daman bhi phela kar dekha hai...
Ik shakhs hai jo mujh sy bhulaya nahi jata...
Mene to sari duniya ko bhula kar bhi dekha hai...