Meri veerani, Meri tanhai, Meri udaasi, Meri Mehbooba

Aaj mere janam din tha...
Mein intezaar karta raha...
Din sy raat ho gai...
Aur mein chalta raha...
Barish mere badan ko bhigoti rahi...
Aur mera tann andar he andar jalta raha...
Magar mein chalta raha...

Intezaar karta raha...
K Shayed...
Kahin sy koi jaani pehchani si awaaz...
Mujhe pyaar sy bula kar kahy...
Janam din mubarak ho...

Magar aaj to har taraf balaa ka sanaata hai...
Pori basti ny mere janam k saug main...
Apny apny gharon main chiragan nahi kiya...
Har taraf holnaak andhera tha...
Es andhery main...
Barish ka shor...
Paton ki khar'kharahat...
Hawaa ki siskiyaan...
Aur Bijli ki chamak ny...
Maho; ajeeb darawana sa bana diya tha...
Mera dill ghabraa gy...
Subha ka bhoola tha es liye...
Shaam ko ghar aagya...

Kya dekhta hun k ghar ki dehleez py hamesha ki tarah...
Woh chiraagh liye meri muntazir thi...
Os ny aa kar mujhe sahara diya...
Phir apny naazuk bazo'on main samait kar...
Mujhe mere bistar tak ly gai...
Mera sar apni goad main rakh kar...
Mere baalon main ungliyan phair kar mujhe sulany lagi...
Phir dheery dheery mere kaan main gun gunany lagi...

Janam din mubarak ho...
Janam din mubarak ho...
Duniya walon sy kitni achi thi...
Meri tanhai...
Meri udaasi...
Meri veerani...
Meri Mehbooba...